yeh nadiya , yeh parvat , yeh chanda , yeh taare,
bahut khoobsoorat hain inke nazare.
yeh phoolon ki khushboo , ye jharne ka paani,
sunate hain humko anuthi kahani.
Hawa ke yeh jhoke , bahe mast hoke,
Na koi inhe roke , Na koi inhe toke.
Yeh baarish ki rimjhim , yeh paani , yeh boonde,
Yeh pedo pe panchi(pakshi) ke sundar gharonde.
Yeh aangan pe tulsi ka paavan sa paudha............
Thursday, March 22, 2007
Monday, January 29, 2007
Krishna.
Is Kavita mein main apne bhagwan ,apne Krishna ji ko sambodhit kar rahi hoon.
Yeh mana ki tum ho hazaron mein ek,
Prashanshak tumhare hai lakhon anek,
Yahi raaz shayad teri berukhi ki,
Hai phir bhi tamanna hamein dosti ki.
Hai Darkhvasta meri ki tum hamse mil lo,
Melega sukoon is nadan dil ko,
Nirasha na hogi hai vada hamara,
Manjhdhaar ki naiya payegi kinara .
Junoon humpe chaya hai na jane kaisa,
ki hum jhelte hain teri berookhi ko,
na tumse hai shikva na koi shikayat,
To kya tumse paya hai shikva hi har waqt.
Kya hamne kiya hai yeh hum hi na jaane,
Bahut hamne dekhe hain tere deewane,
Kyun hamko hai chaahat teri dosti ki,
hai achraj hamein ki yeh hum bhi na jaane
Na paise ki chaahat ,Na yash ki tamanna,
Hamein to teri dosti ki tamanna,
Yeh kaisa hai jaaga mere dil mein armaan,
Khuda ki kasam hum hai tere deewane.
Yeh mana ki tum ho hazaron mein ek,
Prashanshak tumhare hai lakhon anek,
Yahi raaz shayad teri berukhi ki,
Hai phir bhi tamanna hamein dosti ki.
Hai Darkhvasta meri ki tum hamse mil lo,
Melega sukoon is nadan dil ko,
Nirasha na hogi hai vada hamara,
Manjhdhaar ki naiya payegi kinara .
Junoon humpe chaya hai na jane kaisa,
ki hum jhelte hain teri berookhi ko,
na tumse hai shikva na koi shikayat,
To kya tumse paya hai shikva hi har waqt.
Kya hamne kiya hai yeh hum hi na jaane,
Bahut hamne dekhe hain tere deewane,
Kyun hamko hai chaahat teri dosti ki,
hai achraj hamein ki yeh hum bhi na jaane
Na paise ki chaahat ,Na yash ki tamanna,
Hamein to teri dosti ki tamanna,
Yeh kaisa hai jaaga mere dil mein armaan,
Khuda ki kasam hum hai tere deewane.
Saturday, January 27, 2007
Moksha.
Man ki uljhan main kisse boloon,
Dukh ki partein main kaise kholoon,
Dil ne chaha mila nahi ,
phir bhi mujhko koi gila nahi,
jab se maine aankhein kholi,
charo taraf dekhi rangoli,
phir kya aisa aaj hua ,
kyon mere man ko traas hua,
kya hai khoya ,kya hai bhoga,
payienge wahi jo naseeb mein hoga,
gar nahi mila to bhi kya hoga,
sab karni ka lekha jokha,
jab sab kuch hai uske haath,
phir kyon vichlit hai man aaj,
khud se prashna main karti hoon,
jo soch rahi hoon main man mein ,
jo dhoond rahi hoon jeevan mein ,
kya wah ichcha main dharti hoon,
ya yeh hai man ka koi chalava,
hai mere man ka koi bhulava,
kya rakha hai is jag mein,
mila hai dhokha pag pag mein,
jab maine sabko pyaar diya,
jeevan apna nyochaar kiya,
phir kyon mujhko apmaan mila,
hai prem daya ka yahi sila?
woh geet madhur , woh amrit jal(MOKSHA)
jiski chahat mujhko har pal ,
kya paongi main isi janam ,
kar daya mujh par mere bhagwan.
Dukh ki partein main kaise kholoon,
Dil ne chaha mila nahi ,
phir bhi mujhko koi gila nahi,
jab se maine aankhein kholi,
charo taraf dekhi rangoli,
phir kya aisa aaj hua ,
kyon mere man ko traas hua,
kya hai khoya ,kya hai bhoga,
payienge wahi jo naseeb mein hoga,
gar nahi mila to bhi kya hoga,
sab karni ka lekha jokha,
jab sab kuch hai uske haath,
phir kyon vichlit hai man aaj,
khud se prashna main karti hoon,
jo soch rahi hoon main man mein ,
jo dhoond rahi hoon jeevan mein ,
kya wah ichcha main dharti hoon,
ya yeh hai man ka koi chalava,
hai mere man ka koi bhulava,
kya rakha hai is jag mein,
mila hai dhokha pag pag mein,
jab maine sabko pyaar diya,
jeevan apna nyochaar kiya,
phir kyon mujhko apmaan mila,
hai prem daya ka yahi sila?
woh geet madhur , woh amrit jal(MOKSHA)
jiski chahat mujhko har pal ,
kya paongi main isi janam ,
kar daya mujh par mere bhagwan.
Thursday, January 25, 2007
Bhram
Jo hamein dikhe hota woh nahi,Jo nahi dikhe hota woh sahi,
Kya tum ho aur kya hum hain,yeh sab to maatr bhram hai.
sab karm katne aate , kis pher mein par pad jaate hain,
Main Main Too Too ki boli hai,Chahun oar khoon ki holi hai.
jan hi jan ka ab dushman hai, kya yahi hamara jeevan hai?
kyon prem daya hai aaj nahi , koi manavta ka kaaj nahi.
Sab moh maya mein phase hue, dukh ki zanzeer mein kase hue ,
yah mera hai vah tera hai ,sab oar ghana andhera hai.
kya koi aisa hai sansaar , jahan base bas pyar hi pyar,
gar mile to mujhko bhi batlana , Na ho to mujhe sang le jana.
Kya tum ho aur kya hum hain,yeh sab to maatr bhram hai.
sab karm katne aate , kis pher mein par pad jaate hain,
Main Main Too Too ki boli hai,Chahun oar khoon ki holi hai.
jan hi jan ka ab dushman hai, kya yahi hamara jeevan hai?
kyon prem daya hai aaj nahi , koi manavta ka kaaj nahi.
Sab moh maya mein phase hue, dukh ki zanzeer mein kase hue ,
yah mera hai vah tera hai ,sab oar ghana andhera hai.
kya koi aisa hai sansaar , jahan base bas pyar hi pyar,
gar mile to mujhko bhi batlana , Na ho to mujhe sang le jana.
Subscribe to:
Posts (Atom)